Wednesday, November 03, 2004

MY FAVOURITE POETRY

Have been kept busy these past few days, infact im still very busy. studies, studies and only studies in the air, and that too alongwith ramadhan.only three months to go before my exams. and im freaking out.2nd yr MBBS isnt easy job man!wonder what will become of me in the next few yrs. but yes its FUN.great fun, obviously the joy of watching someone recover is a joy forever, so unlike wordsworth, isnt it!wordsworth reminded me of my favourite poetry; here goes some of them:
kahan aa ke ruktey thay raastey, kahan mor tha use bhool ja,
wo jo mil gaya use yaad rakh, jo nahi mila use bhool ja.

wo terey nasib ki baarishien kisi or chhat per baras gayeen,
dil-e-bekhabar meri baat sun, use bhool ja, use bhool ja.

ye jo aagahi ka sarrab hai, yehi sab se berh ker azaab hai,
ye samajh wo aks-e-khayal tha, koi khawab tha, use bhool ja.

mujhe chaand bun ke mila tha jo, merey sahilon pe khila tha jo,
wo to dariya ik wisaal ka tha, so uttar gay, use bhool ja.

tou ye kis liye shab-e-hijr ke use her sitarey main dekhna,
wo falak ke jis pe miley thay hum, koi or tha, use bhool ja.
(Amjad Islam Amjad)

and another one goes like this:

use apni farda ki fikr naa thee, wo jo mera waqif-e-haal tha,
wo jo us ki subh-e-urooj thee, wohi mera waqt-e-zawal tha.

kahan aao ge, kahan jao ge, main ye pooch poch ke thak gaya,
wo jawab mujhe ko kia deta, wo to khud sarapa sawal tha.

dum-e-wapsi aray kia hua, naa wo roshni naa wo taazgi,
wo sitara kaise bikhar gaya, wo jo apni misaal aap tha.

wo mila tou sadiyon baad bhi merey lab pe koi gila naa tha,
use meri chup ney rula diya, jise guftugoo main kamal tha.

merey saath lag ke wo rou diya, mujhe bus itna hi keh saka,
jise jaanta tha main zindagi, wo tou mera wahm-o-khayal tha.
(anon.)

2 Comments:

Anonymous Anonymous said...

Thanks shafqath..i was searching for this Gazal " usay apni ferda ke feqar thi " and i found it here thanks..nice effort and nice poetry.

www.aminulhasnat.cjb.net

August 31, 2005 at 11:35 AM  
Anonymous Anonymous said...

Hey,
I have a question what does "farda" means. I read the whole poem and its really nice. But I am stuck on one word.

June 12, 2007 at 9:30 AM  

Post a Comment

<< Home